Saturday, June 16, 2012

Nirmal Rachna...


A Hindi poem about my beloved Guru Shri Mataji...

Maa, jab aap apni singhaasan pey viraajey
Ye dharthi ke sakal ansh tab mahek mahek utjaaye
Ganesha ka aagaman sab mein tab hojaaye

Maa, jab aap piroye pyaar key naazuk dhaagey
Ye brahmaand mein uthe shuddh iccha ke angaarey
Brahmaji tab honge jaagey

Maa, jab aap chakhlo apne bhaktho ke haathon se ek nivaala
Is dharthi par chaa jaaye harey rang ki maala
Lakshmi tab hamare jeevan mein padhaarey 

Maa, jab aapke dil mein pyaar aaye kisi jeev pe
Ye vishw ke ghanghor andherey rahenge doori pe
Durga ki shakthi ka ek jhonkha bas jaaye dil mein

Maa, jab app gaaye madhur sa ek swar
Is bhoomi ka har jeev bas jaaye viraat par
Krishna ki leela ho jaaye bhaktho mein tatpar

Maa, jab aap jhaankhen humaare aankhon ki geharaayiyon mein
Sakal jeev ke paap mitjaaye is kiran mein
Phir se Yesu ka punaruthaan ho is bhoomandal mein

Maa, jahaan aap chaley sang sang bahathi hai chaitanya ki lehre
Ye pruthvi ke jeevo ka hojaaye uthaan is shakthi ke sahaarey
Shivji ke tatw se ho poora Yog hamaare

Dhanya ho Maa, dhanya ho Maa, dhanya ho Maa

Jai Shri Mataji!

No comments:

Post a Comment